Thursday, July 1, 2010

HINDI FUNNY / TEXT MESSAGES

***************
Medical Shayari
When you breathe, you respire!
Wah Wah!
When you breathe, you respire!
Wah Wah!
When you don't breathe, you expire!
Wah Wah, kya baat hai!
**************
Fizao Mai Tum Ho
Hawao Mai Tum Ho
Baharon Mai Tum Ho
Dhop Mai Tum Ho
Chhaho Mai Tum Ho
Sach He Suna Tha
Buri Aatma Ka Koi Thikana Nahi Hota.
**************
Log Kehte Hai KKhuda Ne Aapko Badi Fursat Me Banaya Hai....
Simple Si Baat Hai Yaar...Faltu Kaam Fursat Me Hi To Hote Hai.
**************
Mom: Beti badi ho kar kya karogi?
Beti: Kuch nahin... Maan banungi, padhungi, shaadi karungi... aur kya?
Mom: Jo karna hai karo par zara serial order mein karna.
**************
Bacha: Miss hamary ghar aaj bhai anay wala hay.
Miss: wo kasay?
Bacha: jab phichli bar ammi hospital main admit theen tu behan aae thi
Ab abu admit hain�
**************
Bhagwan apki umar lambi karey!
Bhagwan apko Naukri de
Bhagwan apko Khush rakhe
Bhagwan apko Barkat de!

Yaad ho gaya?

Chal phir Katora utha aur shooru ho ja
**************
Wife ko Begum kyon kehte hain?
Kyonki shaadi ke baad saare gum to husband ke hisse mein aate hain or wife Be-Gum ho jaat ha.
**************
Maalik: Ramu, iss saal tum 4 bar apne dada ke marne ki chutti le chuke ho.
Ramu: Maalik, iss bar meri dadi ki shaadi ha.
**************
Teacher: Agar apna character sudharna hai to sab auraton ko MAA kaha karo.
Student: Madam is se mera character to theek rahega, par mere baap ka bigad jayega.
**************
Geeta mein likha hai?
.
.
.
.
.
.
are yaar yahan kya dhund raha hai, maine kaha geeta mein likha ha.
**************
Kitni dair hui koi sawal nahi ata
Sawal hum puchein to jawab nahi ata
Ye Sala bathroom me kon baitha ha
Itna lamba toh FARAZ ko b nahi jata!
**************
Tere pyar ka email mere dil ko Lubhataa hai
Par beech main tere baap ka virus aataa hai
Aur karvaaoge humse kitnaa intezaar
Hamaare dil ki site pe kabhi enter to maro yaar
**************
Tere liye chand kya
Sitaro ko bhi tod dunga
Tu sadhi ke liye ha kaho
Ghar walo ko tu kya
Ghar wali ko bhi chod dunga
**************
Tumhaare liye pyaar ki application
create main karoonga
Tum usse debug karnaa
wait main karoonga
Tumhaara intezaar karty karty
main so gaya
Yeh dekho mera connection
time out ho gaya.
**************
Tumse mila main kal to,
mere dil mein hua ek sound,
Lekin aaj tum mili to kehti ho
ur file not found.
**************
kaise bataon kya ho tum
khattara car ho tum
bina light ka lamp ho tum
bina law ki mombatti ho tum
kya samjhta hai khud ko
patla khada hua danda ho tum
kisi murgi ka sada hua anda ho tum
padosiyo ke gale ka fanda ho tum
**************

0 comments:

Post a Comment

 
Powered by Blogger